shama san shab ke mehman hain hum subh hote to phir kahan hain hum tum bin ai raftgan-e-mulk-e-adam hasti apni se sargiran hain hum baghban tuk to baithne de kahin aah gum-karda aashiyan hain hum dekhte hain usi ko ahl-e-nazar go nihan hai wo aur ayan hain hum na kisi ki sunen na apni kahen naqsh-e-diwar-e-bostan hain hum jins-e-asudgi nahin hum pas dard aur gham ke karwan hain hum dil se nala nikal nahin sakta yan talak gham se na-tawan hain hum kya kahen hum 'hasan' ba-qaul 'ziya' jis tarah se ki ab yahan hain hum dagh hain karwan-e-rafta ke naqsh-e-pa-e-guzishtagan hain hum