shama sar dhunti rahi mahfil mein parwanon ke sath

shama sar dhunti rahi mahfil mein parwanon ke sath
aap yaad aate rahe kuchh talkh unwanon ke sath

sham-e-gham sham-e-judai dard-e-dil dard-e-jigar
sare qisse khatm ho jaenge diwanon ke sath

shisha-o-paimana hi zebaish-e-mai-khana hain
chhed shishe ki nahin achchhi hai paimanon ke sath

kaisa wo dilchasp manzar hoga ai jaan-e-aziz
wo hon sahil pe khade aur hum hon tufanon ke sath

hum na honge par hamari dastan rah jaegi
yaad hum aaya karenge apne afsanon ke sath

baada-e-irfan ka saghar le ke 'arif' hath mein
su-e-mai-khana chala hai aaj farzanon ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close