shar pasandi ko bhi shahkar batane wale

shar pasandi ko bhi shahkar batane wale
tu bhi mahfuz nahin aag lagane wale

wo to zalim hai to phir us se shikayat kyon hai
apni hasti ko hain khud aap mitane wale

khandaron se wo sabaq lete nahin hain shayad
hain zamane mein abhi khwab sajaane wale

mil gae khak mein firaun-e-zamana yaro
sab musafir isi duniya se hain jaane wale

zindagi khud hi har aadab sikha deti hai
bade aae mujhe aadab sikhane wale

puchhte kya ho sitamgar ki kahani mujh se
chot par chot lagate hain zamane wale

sone chandi ke khudaon ko giran guzrega
'shah' kaghaz ko karamat batane wale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close