sharab pi jaan tan mein aai alam se tha dil kabab kaisa

sharab pi jaan tan mein aai alam se tha dil kabab kaisa
gale se lag jao aao sahab kahan ka parda hijab kaisa

ab aao bhi har taraf takalluf naqab kaisi kahan ka parda
jhukae kyun sar ho sharm se tum ayan hai rukh se hijab kaisa

badha jo main rakh ke uzr-e-masti kaha ye hans kar chadha ke tewri
hato zara hosh mein raho ji sambhaalo dil iztirab kaisa

tumhein mubarak ho jo liya hai bhula do jo hum ko de diya hai
jo ho gaya us ka zikr kya hai ye doston mein hisab kaisa

bahaar ke din hain kya maza hai sharab ka daur chal raha hai
laga hai sabza chaman khula hai baras raha hai sahab kaisa

main rashk-e-majnun hun dekh idhar tu na la saba gulsitan ki khushbu
ghubar ki hai dimagh ko khu kahan ka itr aur gulab kaisa

wo chashm karti hai said aahu hain itne tir-e-mizha taraazu
pukar hogi ye kal ko har su karih hai mushk-e-nab kaisa

kabhi wo masti mein rang lae kabhi kiya shad muskurae
ajab tarah ke maze uthae visal ki shab mein khwab kaisa

na mel kar saqiya yunhi de pasand mujh ko nahin koi shai
jigar pe charka lage piyape kahan ka pani gulab kaisa

nahin hai dozakh ka dil ko kuchh gham meri bhi sun naseha zara tham
rahim wo pur-gunah hain hum azab kaisa sawab kaisa

jo roz hai rukh to zulf hai shab zaqan hai manind chah-e-nakhshab
ye haal hai bachpane mein yarab to hoga ahd-e-shabab kaisa

ye daur hai chashm-e-surma-gun ka falak hai ek qatra bahr-e-khun ka
jahan mein rang hai fusun ka hai mast har shaikh-o-shabab kaisa

'habib' hain band kaam tere kahan hain shah-e-anam tere
nahin pahunchte imam tere hai banda-e-bu-turab kaisa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close