sharah-e-bedardi-e-haalat na hone pai ab ke bhi dil ki mudaraat na hone pai phir wahi wada jo iqrar na banne paya phir wahi baat jo isbaat na hone pai phir wo parwane jinhen izn-e-shahadat na mila phir wo shamen ki jinhen raat na hone pai phir wahi jaan-ba-labi lazzat-e-mai se pahle phir wo mahfil jo kharabaat na hone pai phir dam-e-did rahe chashm o nazar did-talab phir shab-e-wasl mulaqat na hone pai phir wahan bab-e-asar jaaniye kab band hua phir yahan khatm munajat na hone pai 'faiz' sar par jo har ek roz qayamat guzri ek bhi roz mukafat na hone pai