sharm-alud kahin dida-e-ghammaz na ho dilbari ka koi pahlu nazar-andaz na ho dur se dard-bhari ek sada aati hai mere tute hue dil ki kahin aawaz na ho lazzat-e-dard ka mahjur sahaara kyun len lutf-e-tanhai to jab hai koi dam-saz na ho shukr sad shukr ki ai shauq mera tair-e-dil baal-o-par hote hue mail-e-parwaz na ho muntazir bazm hai aa jaen ba-sad ishwa-e-naz shart ye hai ki nigah-e-ghalat-andaz na ho ye bhi kya daur hai nairangi-e-alam tera murgh-e-asuda chaman zamzama-e-parwaz na ho kasrat-e-jalwa mein gum hai dil hangama-faroz be-khudi kahti hai mera koi hamraaz na ho sar-e-maqtal koi is shan se aae ai 'shauq' lab pe eajaz na ho chashm fusun-saz na ho