shauq aasuda-e-tahlil-e-muamma na hua tera bimar tilismat se achchha na hua tu ne de kar mujhe jo khwab utara tha yahan in mein ek khwab bhi tera koi sachcha na hua imtedad-e-sahar-o-sham zamanon ki qasam ek bhi rang mere pyar ka phika na hua shauq-e-behad ne kisi gam thaharne na diya warna kis gam mera khun-e-tamanna na hua nafa-e-mushk ne pichha nahin chhoda 'salim' mujh sa haiwan koi jangal mein diwana na hua