shauq apna aap main apni zaban se kyun kahun dil jo kuchh kahta hai wo us bad-guman se kyun kahun tum samajh lo soch lo tum tad lo pahchan lo baat apne dil ki main apni zaban se kyun kahun kan mein sun lo idhar aa kar meri ek baat tum tum se kuchh kahta hun main sare jahan se kyun kahun dastan awwal se suniye meri sunni hai agar aap kahte hain jahan se main wahan se kyun kahun kan mein chupke se 'bekhud' jo kaha hai yar ne rashk aata hai mujhe wo raaz-dan se kyun kahun