shauq-e-didar ne kya kya na tamasha dekha jaan-e-man kaise bataen tumhein kya kya dekha zindagi aag hai aur aag ki khatir hum ne dip ki aankh mein jalta hua chehra dekha main ne lamhon mein guzari hain hazaron sadiyan waqt ki dhup mein pighla hua dariya dekha subh raushan ne utari hain sitari aankhen shakh-e-shamshad ne gulshan ka daricha dekha raaz-e-hasti mein zamin sari tasawwur nikli aasman apne takhayyul ka sahifa dekha dagh-e-daman ko chhupae hue phirti hai hawa rang-o-ahang se badla hua shisha dekha meri aankhon mein machalti hui yaaden us ki jam-e-ulfat se chhalakta hua pyala dekha