shauq-e-dil fikr-e-dahan mein hai jo rahbar ki tarah dhundhta hun chashma-e-haiwan sikandar ki tarah meri aahon ko abas hai na-rasai ka gila dil mein ghar karna to sikhen yaad-e-dilbar ki tarah sar se pa tak hai misal-e-gardan-e-taslim kham kis se hota hai adab qatil ka khanjar ki tarah tha jo waqt-e-qatl arman-e-ham-aghoshi mujhe khun ki chhinten lipti hain khanjar se jauhar ki tarah dard-e-dil uth uth ke dhata hai qayamat jaan par sham-e-hijr-e-ashiqan hai subh-e-mahshar ki tarah dil ko aankhon ne sujhai hain jo rahen ishq ki har jagah mujh ko liye phirta hai rahbar ki tarah yaad-e-gesu ek bala-e-jaan-sitan hai hijr mein kate khata hai mera ghar mujh ko azhdar ki tarah is ko lutf-e-dard us ko lazzat-e-mashq-e-jafa dil ki aadat bigdi hai khu-e-sitamgar ki tarah un ki aamad ki khabar sun kar hujum-e-shauq se kashmakash hai khana-e-dil mein bhare ghar ki tarah misl-e-diwana phira karta hai kyon ye roz-o-shab aasman ko bhi hai kya sauda mere sar ki tarah aap ki ghaflat se sari aarzuen mar gain dil mera viran hai ujde hue ghar ki tarah ban ke shabnam lakh tapken chashm-e-akhtar se sarishk roega kya aasman us dida-e-tar ki tarah tukde tukde dil jigar hain tez fiqron se huzur aap ki tegh-e-zaban chalti hai khanjar ki tarah rah mein dil nichi nazron se hua jata hai zabh jhuk ke bhi chalta hai wo qatil to khanjar ki tarah shukr-e-khaliq hai ki be-minnat main hota hun shahid dil ko yaad-e-abru-e-qatil hai khanjar ki tarah tauba tauba kya ghazab saqi ki ghaflat ne kiya sab ki surat dekhta hun rind-e-be-zar ki tarah hijr-e-saqi mein nazar aaya kahin gar shaghl-e-mai dabdabae dida-e-tar chashm-e-saghar ki tarah aarzu-e-wasl-e-qatil itni hai mujh zar ko hun hama-tan surat-e-aghosh khanjar ki tarah ai 'nazar' ishq-e-miyan-e-yar ka hai ye asar jism-e-laghar jo nihan hai jaan ke jauhar ki tarah