shauq hai to hai us ka ghar nazdik duri-e-rah hai rahbar nazdik aah karne mein dam ko sadhe rah kahte hain dil se hai jigar nazdik dur walon ko bhi na pahunche hum yahi na tum se hain magar nazdik duben dariya-o-koh-o-shahr-o-dasht tujh se sab kuchh hai chashm-e-tar nazdik harf duri hai garche insha lek dijo khat ja ke nama-bar nazdik dur ab baithte hain majlis mein hum jo tum se the beshtar nazdik khabar aati hai so bhi dur se yan aao yak-bar be-khabar nazdik tosha-e-akhirat ka fikr rahe ji se jaane ka hai safar nazdik daur phirne ka hum se waqt gaya puchh kuchh haal baith kar nazdik mar bhi rah 'mir' shab bahut roya hai meri jaan ab sahar nazdik