shauq ke khwab-e-pareshan ki hain tafsiren bahut daman-e-dil par ubhar aai hain taswiren bahut doston ki bazm mein kuchh soch kar lab si liye warna daman-e-tasawwur mein hain taqriren bahut zindagi tere liye daftar kahan se laiye chand bosida waraq hain aur tahriren bahut khwahishen hi khwahishen hain hasraten hi hasraten dil sa diwana salamat hai to zanjiren bahut baat itni hai koi ho to sazawar-e-salib is gae-guzre zamane mein bhi taziren bahut zindagi ki talkh tar sachchaiyon ka kya ilaj yun to ahl-e-maslahat karte hain tadbiren bahut karobar-e-shauq ki hasil hain wo paspaiyan jin pe 'taban' naz farmati hain taqdiren bahut