shauq se nakaami ki badaulat kucha-e-dil hi chhut gaya sari umiden tut gain dil baith gaya ji chhut gaya fasl-e-gul aai ya ajal aai kyun dar-e-zindan khulta hai kya koi wahshi aur aa pahuncha ya koi qaidi chhut gaya lijiye kya daman ki khabar aur dast-e-junun ko kya kahiye apne hi hath se dil ka daman muddat guzri chhut gaya manzil-e-ishq pe tanha pahunche koi tamanna sath na thi thak thak kar is rah mein aakhir ek ek sathi chhut gaya us ne adu ka sog kiya yan is se wafa ki aas bandhi dagh-e-tamanna rang-e-hina ki dekha-dekhi chhut gaya 'fani' hum to jite-ji wo mayyat hain be-gor-o-kafan ghurbat jis ko ras na aai aur watan bhi chhut gaya