shauqin mizajon ke rangin tabiat ke

shauqin mizajon ke rangin tabiat ke
wo log bula lao namkin tabiat ke

dukh-dard ke pedon par ab ke jo bahaar aai
phal phul bhi aae hain ghamgin tabiat ke

khairaat mohabbat ki phir bhi na mili hum ko
hum lakh nazar aae miskin tabiat ke

ab ke jo nashebon mein parwaz hamari hai
hum kaun se aise the shahin tabiat ke

dekhi hai bahut hum ne ye film talluq ki
kuchh bol takalluf ke kuchh scene tabiat ke

is umr mein milte hain kab yar nashe jaise
daru ki tarah tikhe kokin tabiat ke

ek umr to hum ne bhi bharpur guzari hai
do-chaar mukhalif the do-tin tabiat ke

tum bhi to miyan 'fazil' apni hi tarah ke ho
din-dar zamane ke be-din tabiat ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close