sher-goi to ek bahana hai e'tibar-e-sukhan badhana hai jis se hon fikr ke dariche wa aisa mahaul ab banana hai ho khudi se agar shanasai thokaron mein teri zamana hai kal zamane ne aazmaya tha ab zamane ko aazmana hai us gali ki kashish nahin jati yun to har roz aana-jaana hai gar tabiat teri nahin mail phir takallum bhi taziyana hai ji raha hun kisi musafir sa sirf uqba mera thikana hai jab mazamin-e-nau chale aaen shaeri ko surur aana hai naqd ho sher ho ki fan-para apna andaz nasihana hai