shiddat-e-karb se karah utha jab utha dard-e-be-panah utha mere aage chala na zor-e-tilism mere pichhe ghubar-e-rah utha be-sabab raat bhar charag jale main dhuan ban ke khwah-makhwah utha dil baghawat pe kab tha aamada sar tha jo pesh-e-baadshah utha chhod de aaj sharm ka daman ai pari-zad ab nigah utha mujh se qaem thi bazm ki raunaq main utha farsh-e-khanqah utha ai jahangir apna adl to dekh koi bhar kar yahan se aah utha