shikan ke sath jite hain thakan ki dastaras mein hain haqiqat mein sabhi apne badan ki dastaras mein hain jamal-e-nikhat-e-sham-o-sahar bhi anjuman mein hai kali bhaunre gul-o-bulbul chaman ki dastaras mein hain mujhe parwaz kar ke aasman mein dubna tha aur mujhe ye yaad tha hum sab badan ki dastaras mein hain asiran-e-gham-e-duniya fana ki justuju mein hain kahin par hazrat-e-zahid kafan ki dastaras mein hain are ai husn jata hun jahan tere hi charche hain bata kitne dil-e-dana tuman ki dastaras mein hain