shikan shikan teri yaaden hain mere bistar ki ghazal ke sher nahin karwaten hain shab bhar ki phir aai raat meri sans rukti jati hai sarakti aati hain diwaren phir mere ghar ki mujhe to karni padi aabyari-e-sahra magar nasib mein thi tishnagi samundar ki ye jama o kharch zabani hai naqd-e-sher-o-sukhan magar yahi to kamai hai zindagi bhar ki usi ne bakhshi hai rangini-e-hayat mujhe kabhi kabhi to usi ne hayat dubhar ki rida-e-rang se chhanta hua badan tera ye chandni ki tamazat hai tere paikar ki kitab-e-husn hai tu mil khuli kitab ki tarah yahi kitab to mar mar ke main ne azbar ki sanam ki aas liye nok-e-tesha bota hun main kab se fasl ugata raha hun patthar ki nibah karta hun duniya se is tarah ai 'shaz' ki jaise dosti ho aastin o khanjar ki