shikast-e-zindagi waise bhi maut hi hai na

shikast-e-zindagi waise bhi maut hi hai na
to sach bata ye mulaqat aakhiri hai na

kaha nahin tha mera jism aur bhar yarab
so ab ye khak tere pas bach gai hai na

tu mere haal se anjaan kab hai ai duniya
jo baat kah nahin paya samajh rahi hai na

isi liye hamein ehsas-e-jurm hai shayad
abhi hamari mohabbat nai nai hai na

ye kor-chashm ujalon se ishq karte hain
jo ghar jala ke bhi kahte hain raushni hai na

main khud bhi yar tujhe bhulne ke haq mein hun
magar jo bich mein kam-bakht shaeri hai na

main jaan-bujh ke aaya tha tegh aur tere bich
miyan nibhani to padti hai dosti hai na


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close