shikasta-dil the tera e'tibar kya karte jo e'tibar bhi karte to pyar kya karte zara si der ko baithe the phir utha na gaya shajar hi aisa tha wo saya-dar kya karte shab intizar mein din yaad-e-yar mein kate ab aur izzat-e-lail-o-nahaar kya karte kabhi qadam safar-e-shauq mein ruke hi nahin to sang-e-mil bhala hum shumar kya karte sitam-shanas-e-mohabbat to jaan pe khel gae nishana-e-sitam-e-rozgar kya karte hamari aankh mein aansu na us ke lab pe hansi khayal khatir-e-abr-e-bahaar kya karte wo na-pasand tha lekin use bhulaya nahin jo baat bas mein na thi ikhtiyar kya karte darun-e-khana-e-dil kaisa shor hai 'sajid' hamein khabar thi magar aashkar kya karte