shikasta saz-e-mohabbat ki ek sada hun main jo rah gai hai laraz kar wo iltija hun main dam-e-nazara ye diwangi-e-zauq-e-nigah wo mujh ko dhundte hain un ko dhundhta hun main jahan ye kufr hai taqdir ka gila karna ab is maqam pe apne ko pa raha hun main salam ai nigah-e-be-niyaz-e-garmi-e-ishq khata muaf ki ab sard ho raha hun main mera hi zarf hai is mai-kada mein ai saqi ki jam-e-talkh bhi hans hans ke pi raha hun main meri talash mein rahti hai khud meri manzil ghalat khayal ki manzil ko dhundhta hun main wahin se pai hai manzil ki rah ai 'asi' jahan pe us ki mohabbat mein kho gaya hun main