shikayat hum nahin karte riayat wo nahin karte magar is par sitam koi wazahat wo nahin karte rawan ho kis tarah se chahaton ka karwan apna hamein ruswai ka dar hai baghawat wo nahin karte hami jalwa dikhate hain hami shokhi nigahon se nahin hota asar phir bhi shararat wo nahin karte nazar do-chaar ho jae to jhuk jati hain ye palken magar phir bhi koi jazba inayat wo nahin karte saba le kar payam aae ya phulon ka salam aae kisi bhi mausam-e-dil se mohabbat wo nahin karte koi nama koi email mere nam likh den wo mohabbat mein kabhi itni bhi zahmat wo nahin karte