shikayat kar rahe hain sajda-ha-e-raegan mujh se na dekha jaega ab su-e-sang-e-astan mujh se hai kal ki baat sharminda tha husn-e-raegan mujh se ye jalwe mangte the ek nigah-e-mehrban mujh se nazar rakh kar qanaat kar raha hun main tasawwur par ye jalwe chahte hain aur kya qurbaniyan mujh se mohabbat meri badh kar aa gai hai bad-gumani tak! maza aa jae ho jaen jo wo bhi bad-guman mujh se mashiyyat chahti thi mujh ko mahw-e-khwab mein rakhna main kya karta na roki ja sakin angdaiyan mujh se karishme qudrat-e-mutlaq ke hain baala-e-shak lekin main jab jaanun ki badh kar chhin len majburiyan mujh se junun-jaulan-e-dasht-e-justuju hun kya khabar is ki mili manzil kahan mujh ko chhuti manzil kahan mujh se