shikayat sirf itni hai ki wo itna nahin khulta wo mujh se baat karta hai magar mujh sa nahin khulta amiron ko nazakat is qadar muhtaj karti hai khud apni car ka bhi un se darwaza nahin khulta hai qismat us khiladi si meri maidan-e-ulfat mein jise mauqa to milta hai magar khata nahin khulta bahut se faisle majburiyon mein lene padte hain ki aakhir todna padta hai jab tala nahin khulta mizaj aisa hai 'gauhar' ka siwa tere kisi se bhi nahin khulta nahin khulta nahin khulta nahin khulta