shikwe tere huzur kiye ja raha hun main jo kuchh bhi ho qusur kiye ja raha hun main wahm-e-tayyunat ka anjam dekhna nazdikiyon ko dur kiye ja raha hun main mahw-e-tawaf kucha-e-hasti mein rahmaten shayad koi qusur kiye ja raha hun main rakkhi hui hai sang-e-dar-e-yar par jabin is ijz par ghurur kiye ja raha hun main nazr-e-nigah-e-naz hain dil ki nazakaten shishe ko chur chur kiye ja raha hun main rabt-e-niyaz-o-naz ka aalam to dekhna nadim hain wo qusur kiye ja raha hun main socha kabhi na hazrat-e-waiz ne ye 'shakil' rindon mein zikr-e-hur kiye ja raha hun main