shirk ka parda uthaya yar ne hum ko jab apna banaya yar ne roz-e-raushan ki tarah dekha use garche munh apna chhupaya yar ne zahiran maujud hai har shan se har tarah rukh ko dikhaya yar ne khwesh-o-begana faqat kahne ko hai apna diwana banaya yar ne banda bin jaana faqat chhupne ko hai ghar ko virana banaya yar ne pher gardun se hai surat har tarah jism ka shana banaya yar ne tu wo 'markaz' hai khudai ka zuhur khatt-e-fasil ko banaya yar ne