shisha us ka ajib hai khud hi wo hamara raqib hai khud hi jaan kar hum nahin lagate dil dil se har but qarib hai khud hi hum ko hajat nahin naqibon ki sher apna naqib hai khud hi koi hum ko salib kya dega fan hamara salib hai khud hi shairi koi khud nahin manhus sher-go bad-nasib hai khud hi mulk ko mal-e-waqf mat jaano qaum apni gharib hai khud hi tum sikhaoge 'wamiq' us ko adab har pari-wash adib hai khud hi