shishe ka ghar samajh ke jo mail hue hain log

shishe ka ghar samajh ke jo mail hue hain log
khud apne pattharon se hi ghail hue hain log

hal ho nahin rahe hain hazaron nashist mein
kuchh is tarah se uljhe masail hue hain log

chehron pe gham ki suiyan chalti hain roz-o-shab
jaise purani ghadiyon ke dial hue hain log

aabaadiyon ki barf ki sil par khade hue
sahra ki tarah pyas ke sail hue hain log

roz-o-shab-e-hayat ke khanon mein bant kar
qiston mein khud-kushi ke wasail hue hain log

'anwar' abhi to shahr-e-talluq ki rah mein
diwar-e-chin ki tarah hail hue hain log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close