shishe ki diwar thi hail qurb ki aisi surat thi

shishe ki diwar thi hail qurb ki aisi surat thi
kuchh apni bhi majburi thi kuchh us ki bhi zarurat thi

sathi aur kisi ka mera ham-zauq-o-ham-rang-esukhan
us ki tanhai ko shayad kuchh meri bhi zarurat thi

pahli nazar ne kitni hairat se us shakl ko dekha tha
meri soch ki taswiron se milti-julti murat thi

zard hawa ka andha jhonka naqsh mita kar guzar gaya
ret pe ab bikhre harfon ki ek be-chehra surat thi

jis ki baaten shahd se mithi jis ke hath mein surkh gulab
us ki soch mein zahr bhara tha us ke dil mein kudurat thi

ye kis ke eazaz mein 'akram' maqtal mein hai jashn bapa
aaj salibon ki is nagri mein ye kis ki surat thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close