shoala meri aankhon se ayan kyon nahin hota aisa abhi ai soz-e-nihan kyon nahin hota aaya hun sanam-khane mein kabe se nikal kar hasil mujhe didar-e-butan kyon nahin hota jab pursish-e-ahwal pe mail hain wo khud hi haal-e-dil-e-betab bayan kyon nahin hota har-waqt tasawwur mein raha karta hun phir bhi aabaad mere dil ka jahan kyon nahin hota jab lal pari shishe mein maujud hai saqi phir bazm ka rangin saman kyon nahin hota barbaad jo ek aan mein ho jata hai ghuncha har khar magar nazr-e-khizan kyon nahin hota chubh jata hai jab tir-e-sitam dil hi mein ja kar sine pe ayan koi nishan kyon nahin hota gulshan mein nasheman to mera phunk chuki phir thanda tera dil barq-e-tapan kyon nahin hota