shor ehsas mein aisa hai ki mahshar kahiye har nae shahr ko chikhon ka samundar kahiye din ka sahra ye siyah dhup ke umande lashkar dil ko tapte hue neze pe gul-e-tar kahiye wo hain aakash ka manzar kai rangon ki tarah band shishon mein mujhe karb ka daftar kahiye tum sahi phir bhi to murjha gae jhilon mein kanwal in hawaon ko dabi aag ki chadar kahiye raat din barse hain phulon mein magar pyas rahi kaise baadal mein unhen zahr ki gagar kahiye dard-e-be-dard hai behis hain hison ke paikar dil ki aawaz hai shishon ko bhi patthar kahiye fikr-o-gham sab ke makanon mein base hain yaksan shish-mahlon ko mere ghar ke barabar kahiye wo jo aa jaen mohabbat ka ujala ban kar chand ko rang bhari raat ka jhumar kahiye aasman par hai ye 'asrar' zamin par hai kabhi dil ko aafaq mein udta hua shahpar kahiye