shorish-e-beganagi ki ibtida humse hui

shorish-e-beganagi ki ibtida hum se hui
pas rah kar dur rahne ki khata hum se hui

zindagi mein kaun se hum se gunah sarzad hue
kyon teri chashm-e-karam na-ashna hum se hui

masiwa-e-did teri hum ne kuchh chaha na tha
kis ne ki thi iltija kab iltija hum se hui

tere dar par mere sajde dard se labrez the
aise mein tauhin kyunkar ja-ba-ja hum se hui

log apna haal-e-dil giton mein karte hain bayan
ishq mein to ibtida hamd-o-sana hum se hui

jaan lete raaz-e-hasti raaz-e-haq hota agar
teri qudrat yun to surat-ashna hum se hui

dil hi tha jo ranj-o-gham mein shor-o-shar karta raha
fart-e-gham mein shorish-e-arz-o-sama hum se hui

aashiyan ujda gulon ke chehre murjhae 'rafiq'
kya gunah-aluda ye baad-e-saba hum se hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close