shukriya hasti ka! lekin tum ne ye kya kar diya parde hi parde mein apna raaz ifsha kar diya mang kar hum lae the allah se ek dard-e-ishq wo bhi ab taqdir ne auron ka hissa kar diya do hi angare the hathon mein khuda-e-ishq ke ek ko dil ek ko mera kaleja kar diya jab tajalli un ki barq-arzaniyon par aa gai aable se dil ke paida tur-e-sina kar diya apni is waraftagi-e-shauq ka mamnun hun bar-ha mujh ko bhari mahfil mein tanha kar diya waqiat-e-ishq ka tha lamha lamha ek sadi har nafas mein main ne ek arman pura kar diya marhamat farma ke ai 'simab' gham ki lazzaten zist ki talkhi ko fitrat ne gawara kar diya