shumar karta hai mujh ko wo har kisi ki tarah mujhe to maut bhi aati hai zindagi ki tarah jahan ke ped bhi hum se kalam karte the ab us gali se guzarte hain ajnabi ki tarah tujhe bayan bhi kar dun pa kaun manega utar raha hai tu mujh mein kisi wahy ki tarah wo tishna-lab hun ki patthar nichod kar rakh dun magar ye pyas to bahti nahin nadi ki tarah main us ko dekhta rahta hun tiktiki bandhe fasil ghumne lagti hai phir ghadi ki tarah zara si der ko ojhal agar wo hota hai andhera phailne lagta hai raushni ki tarah