shuru-e-ishq mein logon ne itni shiddat ki ki rafta rafta kami ho gai mohabbat ki ye kargah-e-zehanat hai is mein chhote kya bade-badon ne yahan par badi himaqat ki jahan se ilm ka hum ko ghurur hota hai wahin se hoti hai bas ibtida jahaalat ki jo aadmi hai talash-e-sakun mein sadiyon se usi ne kar di yahan intiha bhi wahshat ki purane logon ko har daur mein raha shikwa nae dimaghon ne har ahd mein baghawat ki dikhai deta nahin apna mom ho jaana shikayaten hain hamein dhup se tamazat ki isi liye to andhere mein aaj baithe hain ki hum ne apne charaghon ki kab hifazat ki