sifarish ki zarurat hi na hoti nawazish ki zarurat hi na hoti agar aata hamein haq chhin lena guzarish ki zarurat hi na hoti agar sukhe kuen shabnam se bharte to barish ki zarurat hi na hoti nahin aate agar duniya mein hum to rihaish ki zarurat hi na hoti hasinon ka jo hota husn sada numaish ki zarurat hi na hoti agar hota na shauq-e-khud-sanai sataish ki zarurat hi na hoti siyasat-dan jo tabi maut marte to sazish ki zarurat hi na hoti agar tum 'khwah-makhwah' karte qanaat to khwahish ki zarurat hi na hoti