silsila chhid gaya jab 'yas' ke afsane ka shama gul ho gai dil bujh gaya parwane ka ishq se dil ko mila aaina-khane ka sharaf jagmaga uttha kanwal apne siyah-khane ka khalwat-e-naz kuja aur kuja ahl-e-hawas zor kya chal sake fanus se parwane ka lash kam-bakht ki kabe mein koi phikwa de kucha-e-yar mein kyun dher ho parwane ka wae hasrat ki talluq na hua dil ko kahin na to kabe ka hua main na sanam-khane ka tishna-lab sath chale shauq mein sae ki tarah rukh kiya abr-e-bahaari ne jo mai-khane ka wah kis naz se aata hai tera daur-e-shabab jis tarah daur chale bazm mein paimane ka ahl-e-dil mast hue phail gai bu-e-wafa pairahan chaak hua jab tere diwane ka sar-e-shorida kuja ishq ki begar kuja magar allah re dil aap ke diwane ka dekh kar aaine mein chaak-e-gareban ki bahaar aur bigda hai mizaj aap ke diwane ka kya ajab hai jo hasinon ki nazar lag jae khun halka hai bahut aap ke diwane ka aap ab sham-e-sahar badh ke gale milti hai bakht jaga hai badi der mein parwane ka dil-e-be-hausla takta hai kharidar ki rah koi gahak nahin tute hue paimane ka bazm mein subh hui chha gaya ek sannata silsila chhid gaya jab aap ke afsane ka