simtun kahan se sath pe dariya rawan nahin uthta kahan se mauj mein tab-o-tawan nahin thamta nafas nafas ke ishaare qadam qadam daudun main kaise panw mein reg-e-rawan nahin pursan-e-shab sitare nahin hain sar-e-falak shorida-sar khalaon bhara aasman nahin ek ranj-e-be-kanar tamawwuj-talab kahan ek lutf-e-be-baha sar-e-daman giran nahin kya kahiye lams-ha-e-kharabi ka intishaar nazron mein ab zamin nahin aasman nahin aalam pe lakht lakht pade raushni ka bojh aawara-pa bhi shaki-e-zulmat-fashan nahin phir dasht-e-la-makan mein sada-e-jaras kahan phir musht-e-khak laeq-e-sad-imtihan nahin