sina hai chaak-e-jigar para hai dil sab khun hai tis pe ye jaan-ba-lab aamada bhi mahzun hai us se aankhon ko mila ji mein rahe kyunkar tab chashm-e-eajaz-e-mizha sahar-e-nigah-e-afsun hai aah ye rasm-e-wafa howe bar-uftad kahin is sitam par bhi mera dil usi ka mamnun hai kabhu is dasht se uthta hai jo ek abr tanik gard-e-namnak pareshan shuda-e-majnun hai kyunke be-baada lab-e-ju pe chaman mein rahiye aks-e-gul aab mein taklif-e-mai-e-gul-gun hai par bhi ho na kaleje ke to phir kya bulbul misra-nala jigar-kawi hai go mauzun hai shahr kitna jo koi un mein sarishk-e-afshan ho ru-kash-e-girya-e-gham hausla-e-hamun hai khun har yak raqam shauq se tapke tha wale wo na samjha ki mere name ka kya mazmun hai 'mir' ki baat pe har-waqt ye jhunjhlaya na kar sadi hai khabti hai wo shefta hai majnun hai