sirf kahne ko koi azmat-nishan banta nahin chand qatron se to bahr-e-be-karan banta nahin chaar chhe phulon se apne ghar ka guldasta saja chaar chhe phulon se hargiz gulistan banta nahin karwan ka pas hai tujh ko to pani par na chal ye wo jada hai jahan koi nishan banta nahin be-sar-o-saman parindo kash tum ye sochte kaun si shakhen hain jin par aashiyan banta nahin kis qadar na-qabil-e-idrak hai meri zaban koi is basti mein mera ham-zaban banta nahin