sirf ummid par tiki mitti kuchh nae khwab dekhti mitti ud lo jitna yahin pe aaoge kah rahi hai zamin ki mitti raund lo kitna ye haqiqat hai ek din sab ko raundegi mitti main ne dekha hai aisa bhi manzar mitti mitti mein mil gai mitti pyar jis ko nahin mila samjho ho gai us ki zindagi mitti aaina kaise saf dikhlata us ke chehre pe thi sani mitti ek nai zindagi ki chahat mein chaak par ghumti rahi miti