sitam-e-kaamyab ne mara karam-e-la-jawab ne mara khud hui gum hamein bhi kho baithi nigah-e-bazyab ne mara zindagi thi hijab ke dam tak barhami-e-hijab ne mara ishq ke har sukun-e-akhir ko husn ke iztirab ne mara khud nazar ban gai hijab-e-nazar hae us be-hijab ne mara main tera aks hun ki tu mera is sawal-o-jawab ne mara koi puchhe ki rah ke pahlu mein tir kya iztirab ne mara bach raha jo teri tajalli se us ko tere hijab ne mara ab nazar ko kahin qarar nahin kawish-e-intikhab ne mara sab ko mara 'jigar' ke sheron ne aur 'jigar' ko sharab ne mara