sitam-gar ke sitam par nauha-KHwani kar nahin sakte

sitam-gar ke sitam par nauha-khwani kar nahin sakte
hai ye ek karobar-e-raegani kar nahin sakte

zara ye walwale thamo ki manzil aane wali hai
abhi hum raston se bad-zabani kar nahin sakte

hamesha apna maqsad bhul jaane wale ye kirdar
mukammal is tarah koi kahani kar nahin sakte

hasin ho ba-wafa ho rasm-e-ulfat bhi samajhte ho
kami bas ye hai tum patthar ko pani kar nahin sakte

madad kyon mangte ho hum se tum haq ki tarah mango
mohabbat kar rahe hain mehrbani kar nahin sakte

ye panchhi be-zaban hain is liye aazad udte hain
ye apne malikon ki khush-bayani kar nahin sakte

palat kar aa rahe hain phir se khud ki dastaras mein hum
ye duniya wale apni mezbani kar nahin sakte

sipahi chahte the dushmanon se jang ho jae
sabhi ne baadshah ki baat mani kar nahin sakte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close