sitam-ijad rahoge sitam-ijad rahe is mein ab shad rahe ya koi nashad rahe aap ne ahd kiya hai meri gham-khwari ka ab ijazat ho to ye ahd mujhe yaad rahe gar meri tauba ko maqbul shikast-e-tauba meri tadbir mein taqdir ki uftad rahe qaid-e-hasti se bahut tum ne kiye hain aazad koi is qaid-e-mohabbat ki bhi miad rahe wo khudai ho to ho shan-e-tajalli to nahin jis tajalli mein nigahon ko khuda yaad rahe zulm hai tujh se ba-taqrib-e-takalluf mansub warna taqdir-e-wafa ye hai ki barbaad rahe dil-e-abaad ka 'fani' koi mafhum nahin han magar jis mein koi hasrat-e-barbaad rahe