sitam tu karta hai lekin dua bhi deta hai mera harif mujhe hausla bhi deta hai hai jis ka ek tabassum qarar-e-jaan apna usi ka tarz-e-taghaful rula bhi deta hai baja ki hijr ka aalam azab hai yaro magar ye arsa-e-furqat maza bhi deta hai hai dil-nawaz ghazab ka magar ye shoala-e-ishq kabhi shagufa-e-dil ko jala bhi deta hai kabhi hai maut mein pinhan najat ka pahlu kabhi wo zist ki surat saza bhi deta hai