sitara to kabhi ka jal-bujha hai ye aansu sa teri palkon pe kya hai darakhton ko to chup hona tha ek din parindon ko magar kya ho gaya hai dhanak diwar ke raste mein hail wagarna jast-bhar ka fasla hai use band aankh se main dekh to lun magar phir umr-bhar ka fasla hai chalo apni bhi jaanib ab chalen hum ye rasta der se suna pada hai