siyah-khana kabhi jalwa-gar sa lagta hai kaho kahan se ye virana ghar sa lagta hai ruke hue hain usi phir milenge par ab tak kaha zaban ka us ki nazar sa lagta hai chhupi hai kab koi bhi baat tum se par phir bhi wo baat kya hai ki kahne mein dar sa lagta hai ye aaine mein mujhe dekhta hai kaun bhala ek arse se jo idhar se udhar sa lagta hai jo jaanta hai ki wo jaanta nahin kuchh bhi wo be-khabar hi mujhe ba-khabar sa lagta hai hai khwab-zar shikan-dar-shikan shikanja-bar pa us mein naqsh tera mo'atabar sa lagta hai wo aur fasana-e-kaun-o-makan wasia lage main aur qissa ye kuchh mukhtasar sa lagta hai maqam-e-marg kahan koi aakhiri manzil sire se rah-e-fana ke safar sa lagta hai kisi tarah use anjam tak nahin lata tamasha-saz zara be-hunar sa lagta hai