siyah shab mein wo chand jaisa sulagte din mein saba ho jaise qarib rah kar bhi dur rahna muqaddaron ka likha ho jaise ghazab ki garmi thi jal gaya sab magar ye mahsus ho raha hai ki khwahishon ka ye zard jangal kahin kahin pe hara ho jaise hai ab bhi sanson ka aana jaana hai ab bhi raushan nigah meri ye zindagi jo main ji raha hun kisi ke dil ki dua ho jaise badan sanbhaale bhatak raha hun main be-jihat aasman ke niche zamin nahin hai kahin bhi shayad safar khala-dar-khala ho jaise ye kis ko pane ki justuju thi ki har talab main ne girwi rakh di ab apna sab kuchh main haar baitha ye zindagi hi jua ho jaise ajib hai dil ka ye diya bhi hawa chale mah-o-sal guzre mujhe ye mahsus ho raha hai abhi abhi kuchh bujha ho jaise