siyane the magar itne nahin hum

siyane the magar itne nahin hum
khamoshi ki zaban samjhe nahin hum

ana ki baat ab sunna padegi
wo kya sochega jo ruthe nahin hum

adhuri lag rahi hai jit us ko
use haare hue lagte nahin hum

hamein to rok lo uthne se pahle
palat kar dekhne wale nahin hum

bichhadne ka tere sadma to hoga
magar is khauf ko jite nahin hum

tere rahte to kya hote kisi ke
tujhe kho kar bhi duniya ke nahin hum

ye manzil khwab hi rahti hamesha
agar ghar laut kar aate nahin hum

kabhi soche to is pahlu se koi
kisi ki baat kyun sunte nahin hum

abhi tak mashwaron par ji rahe hain
kisi surat bade hote nahin hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close