soch ka saniya dam bhar ko gaya yar ke pas

soch ka saniya dam bhar ko gaya yar ke pas
panw be-sakhta le aae mujhe kar ke pas

ek patthar hai ki bas surkh hua jata hai
koi pahron se khada hai kisi diwar ke pas

ghantiyan shor machati hain mere kanon mein
phone murda hai magar bistar-e-bedar ke pas

kis tarah barf-bhari raat guzari hogi
main bhi maujud na tha yar-e-tarah-dar ke pas

ibrat-amoz hai darbar-e-shab-o-roz ka taj
tasht-e-tarikh mein sar rakkhe hain dastar ke pas

chashm-e-lala pe siyah pattiyan bandhin 'mansur'
suliyan gadne wale gul-o-gulzar ke pas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close